KHub hi chalti hui wo nargis-e-mastana hai
ḳhuub hī chaltī huī vo nargis-e-mastāna hai
āshnā se āshnā begāne se begāna hai
aate jaate haiñ na.e har roz murġh-e-nāma-bar
banda-parvar aap kā ghar bhī kabūtar-ḳhāna hai
fātiha paḌhne ko aaya thā magar vo sham.a-rū
aaj merī qabr kā jo phuul hai parvāna hai
pā-e-sāqī par girāyā jab girāyā hai mujhe
chaal se ḳhālī kahāñ ye laġhzish-e-mastāna hai
mujh ko le jā kar kahā nāseh ne un ke rū-ba-rū
aap ke sar kī qasam ye aap kā dīvāna hai
'dāġh' ye hai kū-e-qātil maan nādāñ zid na kar
uTh yahāñ se aa idhar ghar baiTh kuchh dīvāna hai
KHub hi chalti hui wo nargis-e-mastana hai
aashna se aashna begane se begana hai
aate jate hain nae har roz murgh-e-nama-bar
banda-parwar aap ka ghar bhi kabutar-KHana hai
fatiha paDhne ko aaya tha magar wo shama-ru
aaj meri qabr ka jo phul hai parwana hai
pa-e-saqi par giraya jab giraya hai mujhe
chaal se KHali kahan ye laghzish-e-mastana hai
mujh ko le ja kar kaha naseh ne un ke ru-ba-ru
aap ke sar ki qasam ye aap ka diwana hai
'dagh' ye hai ku-e-qatil man nadan zid na kar
uTh yahan se aa idhar ghar baiTh kuchh diwana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.