KHub KHabar lete hain meri KHair se ye aghyar bahut
KHub KHabar lete hain meri KHair se ye aghyar bahut
Shahid Najibabadi
MORE BYShahid Najibabadi
ḳhuub ḳhabar lete haiñ merī ḳhair se ye aġhyār bahut
dost ko bad-zan karne vaale allah rakkhe yaar bahut
ziist kā rasta yuuñ to nazar aatā hī hai hamvār bahut
ziist ke sahrā se jab guzre to niklā dushvār bahut
har-sū dār-o-gīr machī hai mujrim kaun hai munsif kaun
daar pe apnoñ kā sar rakh deñ aise yaañ sardār bahut
sab kuchh karnā lekin lāzim ishq se karnā tum parhez
chārāgar kī nasīhatoñ ne mujhe kiyā lāchār bahut
sāmne vo aa.e bhī lekin palak jhapakte guzar ga.e
maiñ ne dil meñ basā rakhe the armān-e-dīdār bahut
merī hī qismat ke taare gardish meñ haiñ kyoñ āḳhir
mere muqaddar hī meñ shāyad taare haiñ dum-dār bahut
nāseh ye kahtā hai tujh ko aatā koī hunar nahīñ
galī galī meñ mai-ḳhānoñ kā merā kārobār bahut
naqsh-e-qadam jo nāqa-e-lailā kā sahrā meñ DhūñD liyā
varna to lailā kā milnā qais ko thā dushvār bahut
sad-hā ham-safaroñ ne chhoḌā is kā mujh ko kyā ġham hai
manzil ko le jaane vaale 'shāhid' mujh ko chaar bahut
KHub KHabar lete hain meri KHair se ye aghyar bahut
dost ko bad-zan karne wale allah rakkhe yar bahut
zist ka rasta yun to nazar aata hi hai hamwar bahut
zist ke sahra se jab guzre to nikla dushwar bahut
har-su dar-o-gir machi hai mujrim kaun hai munsif kaun
dar pe apnon ka sar rakh den aise yan sardar bahut
sab kuchh karna lekin lazim ishq se karna tum parhez
chaaragar ki nasihaton ne mujhe kiya lachaar bahut
samne wo aae bhi lekin palak jhapakte guzar gae
main ne dil mein basa rakhe the arman-e-didar bahut
meri hi qismat ke tare gardish mein hain kyon aaKHir
mere muqaddar hi mein shayad tare hain dum-dar bahut
naseh ye kahta hai tujh ko aata koi hunar nahin
gali gali mein mai-KHanon ka mera karobar bahut
naqsh-e-qadam jo naqa-e-laila ka sahra mein DhunD liya
warna to laila ka milna qais ko tha dushwar bahut
sad-ha ham-safaron ne chhoDa is ka mujh ko kya gham hai
manzil ko le jaane wale 'shahid' mujh ko chaar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.