KHub lagte aap hain sarkar sar se panw tak
ḳhuub lagte aap haiñ sarkār sar se paañv tak
aap ke ham ho ga.e bīmār sar se paañv tak
tum mujhe āvāz denā jab zarūrat ho mirī
mujh meñ har pal pāoge īsār sar se paañv tak
maiñ tirā mahjūr huuñ tere ġhamoñ se chuur huuñ
mujh meñ tū hī tū milegā yaar sar se paañv tak
tere saath aane se shāyad tā-ba-manzil jā sakūñ
'ishq kī hai vo rah-e-dushvār sar se paañv tak
dekh kar sūrat mirī ā.īna ḳhud hī kah uThā
ḳhūb-rū hai ḳhūb-sūrat yaar sar se paañv tak
is jahāñ meñ aaj bhī 'ḳhushtar' koī miltā nahīñ
tere jaisā sāhib-e-kirdār sar se paañv tak
KHub lagte aap hain sarkar sar se panw tak
aap ke hum ho gae bimar sar se panw tak
tum mujhe aawaz dena jab zarurat ho meri
mujh mein har pal paoge isar sar se panw tak
main tera mahjur hun tere ghamon se chur hun
mujh mein tu hi tu milega yar sar se panw tak
tere sath aane se shayad ta-ba-manzil ja sakun
'ishq ki hai wo rah-e-dushwar sar se panw tak
dekh kar surat meri aaina KHud hi kah uTha
KHub-ru hai KHub-surat yar sar se panw tak
is jahan mein aaj bhi 'KHushtar' koi milta nahin
tere jaisa sahib-e-kirdar sar se panw tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.