KHub mausam ne naqsh chhoDe hain
ḳhuub mausam ne naqsh chhoḌe haiñ
phuul bo.e the ḳhaar toḌe haiñ
ab samundar vahāñ kare sajde
ham ne dāman jahāñ nichoḌe haiñ
rakh ke jalte diye muñDeroñ par
ham ne rishte havā se joḌe haiñ
har taraf hai hujūm sāyoñ kā
aadmī to jahāñ meñ thoḌe haiñ
haiñ sarāsīma gardisheñ mujh se
maiñ ne ruḳh hādsoñ ke moḌe haiñ
raushnī ghar kī chhat pe rahtī hai
chāñd tāroñ ne naqsh chhoḌe haiñ
bārhā mere sāmne 'tāriq'
saarī duniyā ne haath joḌe haiñ
KHub mausam ne naqsh chhoDe hain
phul boe the KHar toDe hain
ab samundar wahan kare sajde
hum ne daman jahan nichoDe hain
rakh ke jalte diye munDeron par
hum ne rishte hawa se joDe hain
har taraf hai hujum sayon ka
aadmi to jahan mein thoDe hain
hain sarasima gardishen mujh se
main ne ruKH hadson ke moDe hain
raushni ghar ki chhat pe rahti hai
chand taron ne naqsh chhoDe hain
barha mere samne 'tariq'
sari duniya ne hath joDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.