KHub-surat lag rahi hai sham tujhko dekh kar
ḳhūb-sūrat lag rahī hai shaam tujh ko dekh kar
chashm-e-dil ko aa gayā ārām tujh ko dekh kar
yuuñ bhī tere shahr meñ rusvā.iyāñ kuchh kam na thiiñ
ho gayā huuñ aur maiñ badnām tujh ko dekh kar
bhuul kar bhī maiñ zabāñ par us ko lā saktā nahīñ
aa gayā hai yaad jo ik kaam tujh ko dekh kar
sar pe mere haath rakh kar khā rahā hai tū qasam
jhuuT meñ paidā huā ib.hām tujh ko dekh kar
qatl to terī nigāhoñ se hue haiñ shahr meñ
le rahe haiñ apne sar ilzām tujh ko dekh kar
kyā karūñgā dekh kar 'bebāk' 'ālam sub.h kā
jaane kyā ho raat kā anjām tujh ko dekh kar
KHub-surat lag rahi hai sham tujh ko dekh kar
chashm-e-dil ko aa gaya aaram tujh ko dekh kar
yun bhi tere shahr mein ruswaiyan kuchh kam na thin
ho gaya hun aur main badnam tujh ko dekh kar
bhul kar bhi main zaban par us ko la sakta nahin
aa gaya hai yaad jo ek kaam tujh ko dekh kar
sar pe mere hath rakh kar kha raha hai tu qasam
jhuT mein paida hua ibham tujh ko dekh kar
qatl to teri nigahon se hue hain shahr mein
le rahe hain apne sar ilzam tujh ko dekh kar
kya karunga dekh kar 'bebak' 'alam subh ka
jaane kya ho raat ka anjam tujh ko dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.