KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa
ḳhūbāñ ke biich jānāñ mumtāz hai sarāpā
andāz-e-dilbarī meñ e'jāz hai sarāpā
pal pal maTak ke dekhe Dag Dag chale laTak ke
vo shoḳh chhal chhabīlā tannāz hai sarāpā
tirchhī nigāh karnā katrā ke baat sunñā
majlis meñ 'āshiqoñ kī andāz hai sarāpā
nainoñ meñ us kī jaadū zulfāñ meñ us kī phāñdā
dil ke shikār meñ vo shahbāz hai sarāpā
ġhamza nigah taġhāful añkhiyāñ siyāh o chanchal
yā rab nazar na laage andāz hai sarāpā
us ke ḳhirām uupar tā.ūs mast haigā
vo miir dil-rabābī tannāz hai sarāpā
kisht-e-umīd kartā sarsabz sabza-e-ḳhat
anjām-e-husn us kā āġhāz hai sarāpā
vaqt-e-nazāra 'fā.ez' dildār kā yahī hai
bistar nahīñ badan par tan-bāz hai sarāpā
KHuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa
andaz-e-dilbari mein e'jaz hai sarapa
pal pal maTak ke dekhe Dag Dag chale laTak ke
wo shoKH chhal chhabila tannaz hai sarapa
tirchhi nigah karna katra ke baat sunna
majlis mein 'ashiqon ki andaz hai sarapa
nainon mein us ki jadu zulfan mein us ki phanda
dil ke shikar mein wo shahbaz hai sarapa
ghamza nigah taghaful ankhiyan siyah o chanchal
ya rab nazar na lage andaz hai sarapa
us ke KHiram upar taus mast haiga
wo mir dil-rababi tannaz hai sarapa
kisht-e-umid karta sarsabz sabza-e-KHat
anjam-e-husn us ka aaghaz hai sarapa
waqt-e-nazara 'faez' dildar ka yahi hai
bistar nahin badan par tan-baz hai sarapa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.