KHubiyon KHamiyon achchhi buri aadat samet
ḳhūbiyoñ ḳhāmiyoñ achchhī burī ādāt samet
bol manzūr huuñ maiñ saare tazādāt samet
jhāñk sakte ho agar niiñd kī vaadī se pare
dekh sakte ho mujhe ḳhvāb-o-ḳhayālāt samet
būḌhe bargad ke jhuke shāne batāte haiñ mujhe
us ne Dhoyā hai kahānī ko rivāyāt samet
peḌ kā saaya nahīñ phal bhī zarūrat hai mirī
dil bhī darkār hai terā mujhe din raat samet
jitnī duniyāoñ ko tum DhūñD rahe ho bāhar
mere kamre meñ haiñ band arz-o-samāvāt samet
shahr vāloñ ko parakhnā koī mushkil to nahīñ
bātoñ bātoñ hī meñ khul jaate haiñ auqāt samet
us ke chhūte hī badan aise chamak uThtā hai
jaise jal uTThe koī shahr mazāfāt samet
KHubiyon KHamiyon achchhi buri aadat samet
bol manzur hun main sare tazadat samet
jhank sakte ho agar nind ki wadi se pare
dekh sakte ho mujhe KHwab-o-KHayalat samet
buDhe bargad ke jhuke shane batate hain mujhe
us ne Dhoya hai kahani ko riwayat samet
peD ka saya nahin phal bhi zarurat hai meri
dil bhi darkar hai tera mujhe din raat samet
jitni duniyaon ko tum DhunD rahe ho bahar
mere kamre mein hain band arz-o-samawat samet
shahr walon ko parakhna koi mushkil to nahin
baaton baaton hi mein khul jate hain auqat samet
us ke chhute hi badan aise chamak uThta hai
jaise jal uTThe koi shahr mazafat samet
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.