KHubiyon mein nahin kuchh daulat-o-zar ki KHubi
KHubiyon mein nahin kuchh daulat-o-zar ki KHubi
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
ḳhūbiyoñ meñ nahīñ kuchh daulat-o-zar kī ḳhūbī
ādmiyyat se hai duniyā meñ bashar kī ḳhūbī
karte haiñ nīm-nigah meñ vo sunā mas ko tilā
hai ye adnā nazar-e-ahl-e-nazar kī ḳhūbī
be-samar sabz huī shāḳh to kyā sabz huī
ho samar-dār ye hai shāḳh-e-shajar kī ḳhūbī
bad-maza aur hue shor-o-fuġhāñ se vo mire
dekh lī ham ne ye nāloñ ke asar kī ḳhūbī
naam hī naam suno un kā vo aaveñ na nazar
hai yahī bas dahan-e-tañg-o-kamar kī ḳhūbī
raunaq-e-hazrat-e-dehlī thī usī ke dam se
baa'd marne ke khulī sab pe 'zafar' kī ḳhūbī
ho na iqbāl to de jalva-e-sad-aib-e-hunar
saath iqbāl ke hai 'aish' hunar kī ḳhūbī
KHubiyon mein nahin kuchh daulat-o-zar ki KHubi
aadmiyyat se hai duniya mein bashar ki KHubi
karte hain nim-nigah mein wo suna mas ko tila
hai ye adna nazar-e-ahl-e-nazar ki KHubi
be-samar sabz hui shaKH to kya sabz hui
ho samar-dar ye hai shaKH-e-shajar ki KHubi
bad-maza aur hue shor-o-fughan se wo mere
dekh li hum ne ye nalon ke asar ki KHubi
nam hi nam suno un ka wo aawen na nazar
hai yahi bas dahan-e-tang-o-kamar ki KHubi
raunaq-e-hazrat-e-dehli thi usi ke dam se
ba'd marne ke khuli sab pe 'zafar' ki KHubi
ho na iqbaal to de jalwa-e-sad-aib-e-hunar
sath iqbaal ke hai 'aish' hunar ki KHubi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.