KHun-chakan dil kahan kahan haare
ḳhūñ-chakāñ dil kahāñ kahāñ haare
daañv vāloñ ke pech the nyāre
chāñdnī kā ḳhayāl thā varna
the baġhāvat pe chāñd se taare
ek aañsū samajh ke poñchhā thā
ḳhuun chehre pe mal gayā saare
Thele Thele paḌā rahā sonā
log miTTī pe juT ga.e saare
thī ḳhabar shaam un ke aane kī
āsmāñ par the raat bhar taare
TuuT kar kal bikhar ga.e phir se
zikr par un ke aañkh bhar taare
kam mohabbat kī aag mat samjho
kaT ga.e koh bah ga.e dhāre
KHun-chakan dil kahan kahan haare
danw walon ke pech the nyare
chandni ka KHayal tha warna
the baghawat pe chand se tare
ek aansu samajh ke ponchha tha
KHun chehre pe mal gaya sare
Thele Thele paDa raha sona
log miTTi pe juT gae sare
thi KHabar sham un ke aane ki
aasman par the raat bhar tare
TuT kar kal bikhar gae phir se
zikr par un ke aankh bhar tare
kam mohabbat ki aag mat samjho
kaT gae koh bah gae dhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.