KHun-e-dil hai sharab ke manind
ḳhūn-e-dil hai sharāb ke mānind
aur jigar hai kabāb ke mānind
saaqī ye bhī hai terā faiz-e-ām
piite haiñ mai jo aab ke mānind
mai-e-gulgūñ ko sāqī-e-gulfām
piite haiñ ham gulāb ke mānind
barg-e-gul lab dahan gul-e-sausan
gaal haiñ bas gulāb ke mānind
hijr-e-sāqī meñ ḳhūn-e-dil apnā
piite haiñ ham sharāb ke mānind
haiñ barasne meñ vaqt-e-girya mire
dīda-e-tar sahāb ke mānind
ye bahār aur ye chaman bulbul
hoñge ik roz ḳhvāb ke mānind
be-dilārām rāhat-o-ārām
ho ga.e haiñ azaab ke mānind
koī shai tishna-e-shahādat ko
nahīñ 'ḳhanjar' kī aab ke mānind
KHun-e-dil hai sharab ke manind
aur jigar hai kabab ke manind
saqi ye bhi hai tera faiz-e-am
pite hain mai jo aab ke manind
mai-e-gulgun ko saqi-e-gulfam
pite hain hum gulab ke manind
barg-e-gul lab dahan gul-e-sausan
gal hain bas gulab ke manind
hijr-e-saqi mein KHun-e-dil apna
pite hain hum sharab ke manind
hain barasne mein waqt-e-girya mere
dida-e-tar sahab ke manind
ye bahaar aur ye chaman bulbul
honge ek roz KHwab ke manind
be-dilaram rahat-o-aram
ho gae hain azab ke manind
koi shai tishna-e-shahadat ko
nahin 'KHanjar' ki aab ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.