KHun-e-dil jab bhi nikala to ghazal kah Dali
ḳhūn-e-dil jab bhī nikālā to ġhazal kah Daalī
zabt jab terā sañbhālā to ġhazal kah Daalī
muddatoñ tak tirī yādoñ pe lagā thā pahrā
jab haTā dil se ye jaalā to ġhazal kah Daalī
itnī tārīkī meñ guzrī haiñ hamārī rāteñ
jab kahīñ dekhā ujālā to ġhazal kah Daalī
ham se mai-kash pe khule tab ye nazāre saare
jaam saaqī ne uchhālā to ġhazal kah Daalī
jab vo kūche se kabhī nikle faqat sher kahe
us ne jab ham ko nikālā to ġhazal kah Daalī
maiñ ne bas husn-o-mohabbat pe nahīñ likkhī hai
jab chhinā muñh se nivāla to ġhazal kah Daalī
KHun-e-dil jab bhi nikala to ghazal kah Dali
zabt jab tera sanbhaala to ghazal kah Dali
muddaton tak teri yaadon pe laga tha pahra
jab haTa dil se ye jala to ghazal kah Dali
itni tariki mein guzri hain hamari raaten
jab kahin dekha ujala to ghazal kah Dali
hum se mai-kash pe khule tab ye nazare sare
jam saqi ne uchhaala to ghazal kah Dali
jab wo kuche se kabhi nikle faqat sher kahe
us ne jab hum ko nikala to ghazal kah Dali
main ne bas husn-o-mohabbat pe nahin likkhi hai
jab chhina munh se niwala to ghazal kah Dali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.