KHun-e-dil pine ka qissa aur gham khane ka nam
ḳhūn-e-dil piine kā qissa aur ġham khāne kā naam
ishq hai ai dost mar mar ke jiye jaane kā naam
yaad aa jaate haiñ un ko soḳhta-sāmān-e-ġham
jab koī letā hai is mahfil meñ parvāne kā naam
zarf-e-ālī chāhiye sahbā-parastī ke liye
kar diyā bad-nām kam-zarfoñ ne maiḳhāne kā naam
gardish-e-daurāñ ke māthe kī miTātā huuñ shikan
sāmne mere na lo zulfoñ ke bal khāne kā naam
lutf par maa.il hai shāyad phir vo chashm-e-mai-farosh
baar baar aatā hai lab par aaj paimāne kā naam
anjuman meñ mah-jamāloñ kī bhalā kyoñ jā.iye
jalva-gāh-e-nāz hai dil ke parī-ḳhāne kā naam
shukriya barq-e-tapāñ tere karam kā shukriyā
tū ne raushan kar diyā hai mere kāshāne kā naam
ishq bhī hai sarmadī terā ai husn-e-lā-zavāl
kis tarah miT jā.egā phir tere dīvāne kā naam
ghuum jaatī hai nazar meñ ik bahisht-e-kaif-o-rang
jhuum jaatā hai mirā dil sun ke maiḳhāne kā naam
shikva-e-bedād bhī kitnā sitam-ījād hai
muskurā dete haiñ vo sun kar sitam Dhāne kā naam
saaf zāhir ho gayā 'nāsir' nigāh-e-shauq se
e'tirāf-e-dilbarī hai un ke sharmāne kā naam
KHun-e-dil pine ka qissa aur gham khane ka nam
ishq hai ai dost mar mar ke jiye jaane ka nam
yaad aa jate hain un ko soKHta-saman-e-gham
jab koi leta hai is mahfil mein parwane ka nam
zarf-e-ali chahiye sahba-parasti ke liye
kar diya bad-nam kam-zarfon ne maiKHane ka nam
gardish-e-dauran ke mathe ki miTata hun shikan
samne mere na lo zulfon ke bal khane ka nam
lutf par mail hai shayad phir wo chashm-e-mai-farosh
bar bar aata hai lab par aaj paimane ka nam
anjuman mein mah-jamalon ki bhala kyon jaiye
jalwa-gah-e-naz hai dil ke pari-KHane ka nam
shukriya barq-e-tapan tere karam ka shukriya
tu ne raushan kar diya hai mere kashane ka nam
ishq bhi hai sarmadi tera ai husn-e-la-zawal
kis tarah miT jaega phir tere diwane ka nam
ghum jati hai nazar mein ek bahisht-e-kaif-o-rang
jhum jata hai mera dil sun ke maiKHane ka nam
shikwa-e-bedad bhi kitna sitam-ijad hai
muskura dete hain wo sun kar sitam Dhane ka nam
saf zahir ho gaya 'nasir' nigah-e-shauq se
e'tiraf-e-dilbari hai un ke sharmane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.