KHun-e-ehsas ko maujon ki rawani samjhe
ḳhūn-e-ehsās ko maujoñ kī ravānī samjhe
ashk-e-gul-rañg the vo ham jinheñ paanī samjhe
kaun kartā hai ḳharāboñ meñ dafīnoñ kī talāsh
kis ko fursat hai jo zaḳhmoñ ke ma.ānī samjhe
kaise miT jaatī hai āñkhoñ se vafā kī tahrīr
aaj uḌte hue rañgoñ kī zabānī samjhe
jab bhī dekhā hai use ham ne na.e zaḳhm mile
kaun us shaḳhs kī tasvīr purānī samjhe
aañch thī apne sulagte hue ġham kī 'rāshid'
log jis ko hunar-e-shola-bayānī samjhe
KHun-e-ehsas ko maujon ki rawani samjhe
ashk-e-gul-rang the wo hum jinhen pani samjhe
kaun karta hai KHarabon mein dafinon ki talash
kis ko fursat hai jo zaKHmon ke maani samjhe
kaise miT jati hai aankhon se wafa ki tahrir
aaj uDte hue rangon ki zabani samjhe
jab bhi dekha hai use hum ne nae zaKHm mile
kaun us shaKHs ki taswir purani samjhe
aanch thi apne sulagte hue gham ki 'rashid'
log jis ko hunar-e-shola-bayani samjhe
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 602)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.