KHun-e-jigar ko ghazlon mein tum apni Dhaal ke
ḳhūn-e-jigar ko ġhazloñ meñ tum apnī Dhaal ke
kyā she'r kah rahe ho ai 'ātif' kamāl ke
jo ab guzar gayā hai use bhūl-bhāl ke
aao talāsheñ qissa koī ab ke saal ke
ḳhushiyāñ tamām merī hī jholī meñ Daal ke
vo chal diye haiñ husn kā sadqa nikāl ke
dekheñge ham qarīb se mauqa' agar milā
charche bahut sune tire husn-o-jamāl ke
iz.hār kar sake na mohabbat kā apnī ham
lekin rakhe haiñ ḳhat vo purāne sañbhāl ke
aa.egā vaqt dekhnā ek din zarūr ye
do do javāb deñge ham ik ik savāl ke
maiñ sochtā huuñ har ghaḌī 'ātif' yahī savāl
din haiñ mire 'urūj ke yā haiñ zavāl ke
KHun-e-jigar ko ghazlon mein tum apni Dhaal ke
kya she'r kah rahe ho ai 'atif' kamal ke
jo ab guzar gaya hai use bhul-bhaal ke
aao talashen qissa koi ab ke sal ke
KHushiyan tamam meri hi jholi mein Dal ke
wo chal diye hain husn ka sadqa nikal ke
dekhenge hum qarib se mauqa' agar mila
charche bahut sune tere husn-o-jamal ke
izhaar kar sake na mohabbat ka apni hum
lekin rakhe hain KHat wo purane sanbhaal ke
aaega waqt dekhna ek din zarur ye
do do jawab denge hum ek ek sawal ke
main sochta hun har ghaDi 'atif' yahi sawal
din hain mere 'uruj ke ya hain zawal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.