KHun ehsas ka alfaz ko de kar sara
ḳhuun ehsās kā alfāz ko de kar saarā
surḳh-rū ham ne kiyā fikr kā manzar saarā
ek-dūje ko hasad aur anā le Duubī
aapsī jang meñ maarā gayā lashkar saarā
bāhar us ghar kī ikaa.ī kā bharam bhī kab tak
TukḌe TukḌe huā andar se jo kaT kar saarā
ham ne jis ātish-e-ulfat se jalā.e the charāġh
dil huā ḳhaak usī aag meñ jal kar saarā
dard-o-ġham ke ka.ī tūfāñ haiñ abhī siine meñ
qatra qatra mujhe piinā hai samundar saarā
KHun ehsas ka alfaz ko de kar sara
surKH-ru hum ne kiya fikr ka manzar sara
ek-duje ko hasad aur ana le Dubi
aapsi jang mein mara gaya lashkar sara
bahar us ghar ki ikai ka bharam bhi kab tak
TukDe TukDe hua andar se jo kaT kar sara
hum ne jis aatish-e-ulfat se jalae the charagh
dil hua KHak usi aag mein jal kar sara
dard-o-gham ke kai tufan hain abhi sine mein
qatra qatra mujhe pina hai samundar sara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.