KHun ke chhinTe sar-e-sahn-e-gulistan dekhe
ḳhuun ke chhīñTe sar-e-sahn-e-gulistāñ dekhe
maiñ ne aise bhī ka.ī jashn-e-bahārāñ dekhe
mujh ko har dard-e-masīhā kī ḳhabar hai lekin
kis ko fursat hai mirā hāl-e-pareshāñ dekhe
bebasī maiñ tujhe kis naam se ta.abīr karūñ
āshiyāñ jalte rahe aur nigahbāñ dekhe
aap ne jalte makānoñ kī kahānī hī sunī
merī āñkhoñ ne to jalte hue insāñ dekhe
ḳhud ko tūfān se mahfūz samajhne vaalo
maiñ ne sāhil se bhī uThte hue tūfāñ dekhe
ḳhaak hogā use andāza-e-tūfāñ 'anvar'
rah ke sāhil pe jo maujoñ ko pareshāñ dekhe
KHun ke chhinTe sar-e-sahn-e-gulistan dekhe
main ne aise bhi kai jashn-e-bahaaran dekhe
mujh ko har dard-e-masiha ki KHabar hai lekin
kis ko fursat hai mera haal-e-pareshan dekhe
bebasi main tujhe kis nam se tabir karun
aashiyan jalte rahe aur nigahban dekhe
aap ne jalte makanon ki kahani hi suni
meri aankhon ne to jalte hue insan dekhe
KHud ko tufan se mahfuz samajhne walo
main ne sahil se bhi uThte hue tufan dekhe
KHak hoga use andaza-e-tufan 'anwar'
rah ke sahil pe jo maujon ko pareshan dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.