KHun mein Duba hua shahr ka manzar hai miyan
ḳhuun meñ Duubā huā shahr kā manzar hai miyāñ
aise māhaul se to gaañv hī behtar hai miyāñ
kis ghaḌī kyā ho mire saath koī Thiik nahīñ
in dinoñ chāroñ taraf ḳhauf kā lashkar hai miyāñ
āfiyat is meñ tumhārī hai ki ḳhāmosh raho
aur kahne ko mire paas bhī daftar hai miyāñ
'umr bhar tesha-zanī merī tarah kaun kare
saḳht patthar kī tarah merā muqaddar hai miyāñ
ho rahā hai ye ayaañ ḳhauf-zada chehre se
ro'b ġhālib to mirā aaj bhī tum par hai miyāñ
ḳhauf sā lagtā hai ḳhud apne paḌosī se 'alīm'
ghar to ūñchā hai magar phuus kā chhappar hai miyāñ
KHun mein Duba hua shahr ka manzar hai miyan
aise mahaul se to ganw hi behtar hai miyan
kis ghaDi kya ho mere sath koi Thik nahin
in dinon chaaron taraf KHauf ka lashkar hai miyan
aafiyat is mein tumhaari hai ki KHamosh raho
aur kahne ko mere pas bhi daftar hai miyan
'umr bhar tesha-zani meri tarah kaun kare
saKHt patthar ki tarah mera muqaddar hai miyan
ho raha hai ye ayan KHauf-zada chehre se
ro'b ghaalib to mera aaj bhi tum par hai miyan
KHauf sa lagta hai KHud apne paDosi se 'alim'
ghar to uncha hai magar phus ka chhappar hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.