KHun mein Dubi hui lashon ki taraf kya dekhun
ḳhuuñ meñ Duubī huī lāshoñ kī taraf kyā dekhūñ
sang-bārī ke Thikānoñ kī taraf kyā dekhūñ
tere kirdār pe markūz haiñ merī nazreñ
maiñ tire ghar ke ḳhazānoñ kī taraf kyā dekhūñ
khīñch laa.ī hai zarūrat sar-e-bāzār mujhe
jeb ḳhālī hai dukānoñ kī taraf kyā dekhūñ
shahr-e-gunjān meñ ābād nahīñ dil koī
iiñT patthar ke makānoñ kī taraf kyā dekhūñ
ġhībateñ karne se behtar hai ki ḳhāmosh rahūñ
kisī dīvār ke kānoñ kī taraf kyā dekhūñ
buuñd ban ban ke sar-e-rāh bikhar jā.eñgī
abr kī ūñchī chaTānoñ kī taraf kyā dekhūñ
ab to har phuul se bārūd kī bū aatī hai
shāḳh ke tiir kamānoñ kī taraf kyā dekhūñ
be-zamīñ hone kā ehsās dilātā hai lahū
be-zamīñ huuñ to kisānoñ kī taraf kyā dekhūñ
lan-tarānī ke sivā kuchh na milegā 'irfān'
gaañv ke ūñche gharānoñ kī taraf kyā dekhūñ
KHun mein Dubi hui lashon ki taraf kya dekhun
sang-bari ke Thikanon ki taraf kya dekhun
tere kirdar pe markuz hain meri nazren
main tere ghar ke KHazanon ki taraf kya dekhun
khinch lai hai zarurat sar-e-bazar mujhe
jeb KHali hai dukanon ki taraf kya dekhun
shahr-e-gunjaan mein aabaad nahin dil koi
inT patthar ke makanon ki taraf kya dekhun
ghibaten karne se behtar hai ki KHamosh rahun
kisi diwar ke kanon ki taraf kya dekhun
bund ban ban ke sar-e-rah bikhar jaengi
abr ki unchi chaTanon ki taraf kya dekhun
ab to har phul se barud ki bu aati hai
shaKH ke tir kamanon ki taraf kya dekhun
be-zamin hone ka ehsas dilata hai lahu
be-zamin hun to kisanon ki taraf kya dekhun
lan-tarani ke siwa kuchh na milega 'irfan'
ganw ke unche gharanon ki taraf kya dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.