KHun mein Dubi ridaen nahin dekhi jatin
ḳhuun meñ Duubī ridā.eñ nahīñ dekhī jātīñ
bain kartī huī maa.eñ nahīñ dekhī jātīñ
ḳhatm hote hue aañsū hoñ ki thamtā huā dard
ham se ab aur sazā.eñ nahīñ dekhī jātīñ
jaane vāloñ kā bhalā kaise tumheñ deñ pursā
ḳhālī hāthoñ kī duā.eñ nahīñ dekhī jātīñ
marne vāloñ kī sadā.eñ to maiñ sun saktī huuñ
jiine vāloñ kī karāheñ nahīñ dekhī jātīñ
phuul toḌe haiñ bujhā.e haiñ mire ghar ke charāġh
dushmanā terī ḳhatā.eñ nahīñ dekhī jātīñ
ab to āñkhoñ meñ dhuāñ bharne lagā hai 'farhat'
aisī ranjūr fazā.eñ nahīñ dekhī jātīñ
KHun mein Dubi ridaen nahin dekhi jatin
bain karti hui maen nahin dekhi jatin
KHatm hote hue aansu hon ki thamta hua dard
hum se ab aur sazaen nahin dekhi jatin
jaane walon ka bhala kaise tumhein den pursa
KHali hathon ki duaen nahin dekhi jatin
marne walon ki sadaen to main sun sakti hun
jine walon ki karahen nahin dekhi jatin
phul toDe hain bujhae hain mere ghar ke charagh
dushmana teri KHataen nahin dekhi jatin
ab to aankhon mein dhuan bharne laga hai 'farhat'
aisi ranjur fazaen nahin dekhi jatin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.