KHun mein lipTi hui kuchh shairi aankhon mein thi
ḳhuun meñ lipTī huī kuchh shā'irī āñkhoñ meñ thī
maut sāñsoñ pe rukī thī zindagī āñkhoñ meñ thī
ibtidā.an naam terā aa gayā hoñToñ talak
aur phir saarī kī saarī an-kahī āñkhoñ meñ thī
raat jab us se suḳhan ke āshiyāñ meñ ham mile
barhamī afsurdagī sharmindagī āñkhoñ meñ thī
ek rasta thā ki jis par ham masāfat kar chuke
ek manzil be-asar be-nām sī āñkhoñ meñ thī
kuchh raqābat kā bhañvar thā āshnā-e-mauj meñ
kuchh kashish apnī magar un ajnabī āñkhoñ meñ thī
ik diyā jaltā rahā tā-der koh-e-hijr par
ek angār-e-vafā kī sho'lagī āñkhoñ meñ thī
kyā kaheñ us 'ālam-e-vahdat kā ham 'kāvish' ki jab
raushnī ḳhvāboñ meñ lekin tīrgī āñkhoñ meñ thī
KHun mein lipTi hui kuchh sha'iri aankhon mein thi
maut sanson pe ruki thi zindagi aankhon mein thi
ibtidaan nam tera aa gaya honTon talak
aur phir sari ki sari an-kahi aankhon mein thi
raat jab us se suKHan ke aashiyan mein hum mile
barhami afsurdagi sharmindagi aankhon mein thi
ek rasta tha ki jis par hum masafat kar chuke
ek manzil be-asar be-nam si aankhon mein thi
kuchh raqabat ka bhanwar tha aashna-e-mauj mein
kuchh kashish apni magar un ajnabi aankhon mein thi
ek diya jalta raha ta-der koh-e-hijr par
ek angar-e-wafa ki sho'lagi aankhon mein thi
kya kahen us 'alam-e-wahdat ka hum 'kawish' ki jab
raushni KHwabon mein lekin tirgi aankhon mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.