KHun mera jis se hua hai KHanjar-e-ahbab hai
ḳhuuñ mirā jis se huā hai ḳhanjar-e-ahbāb hai
ye haqīqat hai magar lagtā hai jaise ḳhvāb hai
is liye mujh sā numāyāñ ho gayā be-bāl-o-par
jis jagah maiñ huuñ vahāñ har aadmī surḳhāb hai
ham ne dekhā hai ki aksar Duub jaatā hai vahī
jo talāsh-e-gauhar-e-yaktā meñ zer-e-āb hai
ab kisī jañgal meñ jā rahiye ki apne shahr meñ
aadmī hī aadmī ke vāste nāyāb hai
zindagī apnī bil-āḳhir ho ga.ī us par tamām
jo kitāb-e-zindagī kā nā-mukammal baab hai
vo to ye kahiye shikasta ho chukā hai hausla
varna dil ab bhī kisī ke vasl ko betāb hai
KHun mera jis se hua hai KHanjar-e-ahbab hai
ye haqiqat hai magar lagta hai jaise KHwab hai
is liye mujh sa numayan ho gaya be-baal-o-par
jis jagah main hun wahan har aadmi surKHab hai
hum ne dekha hai ki aksar Dub jata hai wahi
jo talash-e-gauhar-e-yakta mein zer-e-ab hai
ab kisi jangal mein ja rahiye ki apne shahr mein
aadmi hi aadmi ke waste nayab hai
zindagi apni bil-aKHir ho gai us par tamam
jo kitab-e-zindagi ka na-mukammal bab hai
wo to ye kahiye shikasta ho chuka hai hausla
warna dil ab bhi kisi ke wasl ko betab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.