KHun palkon pe sar-e-sham jamega kaise
ḳhuun palkoñ pe sar-e-shām jamegā kaise
dard kā shahr jo ujḌā to basegā kaise
roz-o-shab yādoñ ke aaseb satā.eñge koī
shahr meñ tujh se ḳhafā ho ke rahegā kaise
dil jalā lete the ham log añdheroñ meñ magar
dil bhī un tez havāoñ meñ jalegā kaise
kis musībat se yahāñ tak tire saath aa.e the
rāsta tujh se alag ho ke kaTegā kaise
āḳhir us ko bhī hai kuchh 'ja.afarī' duniyā kā ḳhayāl
der tak raat ga.e saath rahegā kaise
KHun palkon pe sar-e-sham jamega kaise
dard ka shahr jo ujDa to basega kaise
roz-o-shab yaadon ke aaseb sataenge koi
shahr mein tujh se KHafa ho ke rahega kaise
dil jala lete the hum log andheron mein magar
dil bhi un tez hawaon mein jalega kaise
kis musibat se yahan tak tere sath aae the
rasta tujh se alag ho ke kaTega kaise
aaKHir us ko bhi hai kuchh 'jafari' duniya ka KHayal
der tak raat gae sath rahega kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.