KHun roti hui aqwam ka dukh
ḳhuun rotī huī aqvām kā dukh
khā na jaa.e kahīñ hangām kā dukh
chand lafzoñ meñ kahāñ aa.egā
vaqt-e-rafta tire ayyām kā dukh
ham ne furqat kī siyah rātoñ meñ
oḌh rakkhā thā tire naam kā dukh
tum ne ban-bās kahāñ kaaTā hai
tum na samjhoge kabhī raam kā dukh
tum jo ho shahr-e-tarab ke baasī
tum batāoge hameñ shaam kā dukh
is meñ ġharqāb hue to yāroñ
ham ne jaanā hai bahut kaam kā dukh
KHun roti hui aqwam ka dukh
kha na jae kahin hangam ka dukh
chand lafzon mein kahan aaega
waqt-e-rafta tere ayyam ka dukh
hum ne furqat ki siyah raaton mein
oDh rakkha tha tere nam ka dukh
tum ne ban-bas kahan kaTa hai
tum na samjhoge kabhi ram ka dukh
tum jo ho shahr-e-tarab ke basi
tum bataoge hamein sham ka dukh
is mein gharqab hue to yaron
hum ne jaana hai bahut kaam ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.