KHwab aankhon ki hawalat mein Dala gaya hai
ḳhvāb āñkhoñ kī havālāt meñ Daalā gayā hai
niiñd ko yūñhī fasādāt meñ Daalā gayā hai
mujh ko halkī sī tajallī kī jhalak aatī hai
kahkashāoñ ko tirī baat meñ Daalā gayā
ye kisī nek sahāfī kā hunar hai shāyad
tanz jī bhar ke savālāt meñ Daalā gayā hai
ik mohabbat hai mirī apnī kamā.ī huī shai
aur jo kuchh hai vo ḳhairāt meñ Daalā gayā hai
apne qadmoñ ko sañbhalne kā hunar sikhlāo
kyūñki patthar ko mirī zaat meñ Daalā gayā hai
ishq ko chhū ke chamaktī hai tabī.at jin kī
un ujāloñ ko kisī raat meñ Daalā gayā hai
KHwab aankhon ki hawalat mein Dala gaya hai
nind ko yunhi fasadat mein Dala gaya hai
mujh ko halki si tajalli ki jhalak aati hai
kahkashaon ko teri baat mein Dala gaya
ye kisi nek sahafi ka hunar hai shayad
tanz ji bhar ke sawalat mein Dala gaya hai
ek mohabbat hai meri apni kamai hui shai
aur jo kuchh hai wo KHairaat mein Dala gaya hai
apne qadmon ko sanbhalne ka hunar sikhlao
kyunki patthar ko meri zat mein Dala gaya hai
ishq ko chhu ke chamakti hai tabiat jin ki
un ujalon ko kisi raat mein Dala gaya hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.