KHwab aankhon mein mohabbat ka basae rakkhun
ḳhvāb āñkhoñ meñ mohabbat kā basā.e rakkhūñ
dil ye kahtā hai ki ye sham.a jalā.e rakkhūñ
kuchh na kuchh roz bigaḌ jaatā hai mere ghar meñ
kab tak is qasr-e-sharāfat ko bachā.e rakkhūñ
un kī ḳhvāhish hai ki rishtoñ meñ latāfat na rahe
merī koshish hai ki siine se lagā.e rakkhūñ
ek ik kar ke bujhe jaate haiñ armāñ ke charāġh
ā.ina-ḳhāna-e-dil kaise sajā.e rakkhūñ
dil to khīñche liye jaatā hai sar-e-kū-e-vafā
kaise is raah se maiñ ḳhud ko bachā.e rakkhūñ
yaad terī tan-e-qirtās meñ Dhal jaa.e agar
is sahīfe ko maiñ phūloñ meñ basā.e rakkhūñ
KHwab aankhon mein mohabbat ka basae rakkhun
dil ye kahta hai ki ye shama jalae rakkhun
kuchh na kuchh roz bigaD jata hai mere ghar mein
kab tak is qasr-e-sharafat ko bachae rakkhun
un ki KHwahish hai ki rishton mein latafat na rahe
meri koshish hai ki sine se lagae rakkhun
ek ek kar ke bujhe jate hain arman ke charagh
aaina-KHana-e-dil kaise sajae rakkhun
dil to khinche liye jata hai sar-e-ku-e-wafa
kaise is rah se main KHud ko bachae rakkhun
yaad teri tan-e-qirtas mein Dhal jae agar
is sahife ko main phulon mein basae rakkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.