KHwab aisa hasin dikhai diya
ḳhvāb aisā hasīñ dikhā.ī diyā
phir mujhe kuchh nahīñ dikhā.ī diyā
varna bekār thiiñ mirī āñkheñ
shukr hai tū kahīñ dikhā.ī diyā
āsmānoñ se TuuT kar taara
mujh ko zer-e-zamīñ dikhā.ī diyā
sab dikhā.ī diyā use lekin
ek maiñ hī nahīñ dikhā.ī diyā
chāñd bādal ko oḌh kar ik din
aap kā ham-nashīñ dikhā.ī diyā
KHwab aisa hasin dikhai diya
phir mujhe kuchh nahin dikhai diya
warna bekar thin meri aankhen
shukr hai tu kahin dikhai diya
aasmanon se TuT kar tara
mujh ko zer-e-zamin dikhai diya
sab dikhai diya use lekin
ek main hi nahin dikhai diya
chand baadal ko oDh kar ek din
aap ka ham-nashin dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.