KHwab dar aae hain wahshat ki numu-yabi ko
ḳhvāb dar aa.e haiñ vahshat kī numū-yābī ko
aur maiñ bedār huā dekhne sairābī ko
mujh se pūchhe koī ā.īne meñ kyā hotā hai
maiñ junūñ-zād ki bāham rahā betābi ko
mauj-e-ḳhūñ sar se guzartī hai tabhī dekhtā huuñ
ātish-e-'ishq liye is dil-e-sailābī ko
bahs maujūd-o-mayassar meñ na shāmil rakhiye
ik ġhanīmat hī samajhiye mirī kam-yābī ko
dar-haqīqat to ye āñkhoñ kā ziyāñ hai merī
aap ne ḳhvāb samajh rakkhā hai be-ḳhvābī ko
aap kī tab'-e-ḳhizāñ ham pe barastī hai bahut
ham ne mazmūn kiyā mausam-e-shādābī ko
KHwab dar aae hain wahshat ki numu-yabi ko
aur main bedar hua dekhne sairabi ko
mujh se puchhe koi aaine mein kya hota hai
main junun-zad ki baham raha betabi ko
mauj-e-KHun sar se guzarti hai tabhi dekhta hun
aatish-e-'ishq liye is dil-e-sailabi ko
bahs maujud-o-mayassar mein na shamil rakhiye
ek ghanimat hi samajhiye meri kam-yabi ko
dar-haqiqat to ye aankhon ka ziyan hai meri
aap ne KHwab samajh rakkha hai be-KHwabi ko
aap ki tab'-e-KHizan hum pe barasti hai bahut
hum ne mazmun kiya mausam-e-shadabi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.