KHwab dekha hai na aankhon mein junun dekha hai
KHwab dekha hai na aankhon mein junun dekha hai
Sayyad Sohaib Hashmi
MORE BYSayyad Sohaib Hashmi
ḳhvāb dekhā hai na āñkhoñ meñ junūñ dekhā hai
merī vahshat ne faqat hāl-e-zabūñ dekhā hai
tum ne dekhī hī nahīñ gaañv kī pur-shor fazā
tum ne bas shahr kī galiyoñ kā sukūñ dekhā hai
ye batā aañkh meñ hairat utar aa.ī kaise
ye na samjhā ki mujhe pyaar se kyoñ dekhā hai
jaise mahtāb ulajhtā hai ravāñ lahroñ se
maiñ ne jaate hue tālāb ko yuuñ dekhā hai
dar-e-aflāk to us vaqt khulā hai mujh par
niyat-e-ijz se jab apne darūñ dekhā hai
ho gayā naqsh-ba-dīvār vahī shaḳhs 'suhaib'
us kī āvāz kā jis ne bhī fusūñ dekhā hai
KHwab dekha hai na aankhon mein junun dekha hai
meri wahshat ne faqat haal-e-zabun dekha hai
tum ne dekhi hi nahin ganw ki pur-shor faza
tum ne bas shahr ki galiyon ka sukun dekha hai
ye bata aankh mein hairat utar aai kaise
ye na samjha ki mujhe pyar se kyon dekha hai
jaise mahtab ulajhta hai rawan lahron se
main ne jate hue talab ko yun dekha hai
dar-e-aflak to us waqt khula hai mujh par
niyat-e-ijz se jab apne darun dekha hai
ho gaya naqsh-ba-diwar wahi shaKHs 'suhaib'
us ki aawaz ka jis ne bhi fusun dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.