KHwab-e-asudgi sunahra hai
ḳhvāb-e-āsūdgī sunahrā hai
zindagī par to saḳht pahrā hai
dhuup nafrat kī baḌh ga.ī logo
ab mohabbat pe chhāyā gahrā hai
haq parastoñ ka naam aa tañgī
saare aalam meñ jin ka shohra hai
ho dikhāvā yā ho amal achchhā
faisla niyatoñ pe Thahrā hai
duur kitne bhī tum raho 'aḳhtar'
rishta dil se to dil kā gahrā hai
KHwab-e-asudgi sunahra hai
zindagi par to saKHt pahra hai
dhup nafrat ki baDh gai logo
ab mohabbat pe chhaya gahra hai
haq paraston ka nam aa tangi
sare aalam mein jin ka shohra hai
ho dikhawa ya ho amal achchha
faisla niyaton pe Thahra hai
dur kitne bhi tum raho 'aKHtar'
rishta dil se to dil ka gahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.