KHwab hi ke sath mere KHwab ki tabir thi
ḳhvāb hī ke saath mere ḳhvāb kī ta.abīr thī
shab ko zulfeñ haath meñ thiiñ sub.h ko zanjīr thī
kashmakash meñ is tarah guzrī hai saarī zindagī
umr bhar tadbīr se uljhī huī taqdīr thī
kyā jhukā saktā koī merī jabīn-e-shauq ko
is pe jab kanda tumhāre haath kī tahrīr thī
aaj tak barham haiñ mujh se aaj tak rūThe hue
kah diyā thā hāl-e-dil itnī mirī taqsīr thī
hādsāt-e-zindagī ne hī sañvārī zindagī
ye ināyat aap kī thī yā mirī taqdīr thī
be-qarārī khīñch laa.ī un kī bazm-e-nāz se
varna un ke multafit hone meñ kyā tāḳhīr thī
thiiñ tasavvur meñ mire kaun-o-makāñ kī vus.ateñ
markaz-e-zauq-e-nazar lekin tirī tasvīr thī
dāstān-e-ġham zabān-e-hāl se kar dī bayāñ
kyā huā ham par agar pābandī-e-taqrīr thī
ham to pāband-e-mohabbat haiñ 'shifā' ab kyā kareñ
varna jo chāhā huā ye aah meñ tāsīr thī
KHwab hi ke sath mere KHwab ki tabir thi
shab ko zulfen hath mein thin subh ko zanjir thi
kashmakash mein is tarah guzri hai sari zindagi
umr bhar tadbir se uljhi hui taqdir thi
kya jhuka sakta koi meri jabin-e-shauq ko
is pe jab kanda tumhaare hath ki tahrir thi
aaj tak barham hain mujh se aaj tak ruThe hue
kah diya tha haal-e-dil itni meri taqsir thi
hadsat-e-zindagi ne hi sanwari zindagi
ye inayat aap ki thi ya meri taqdir thi
be-qarari khinch lai un ki bazm-e-naz se
warna un ke multafit hone mein kya taKHir thi
thin tasawwur mein mere kaun-o-makan ki wusaten
markaz-e-zauq-e-nazar lekin teri taswir thi
dastan-e-gham zaban-e-haal se kar di bayan
kya hua hum par agar pabandi-e-taqrir thi
hum to paband-e-mohabbat hain 'shifa' ab kya karen
warna jo chaha hua ye aah mein tasir thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.