KHwab hi mein ruKH-e-pur-nur dikhae koi
ḳhvāb hī meñ ruḳh-e-pur-nūr dikhā.e koī
ġham meñ rāhat kā bhī pahlū nazar aa.e koī
sāmne us ke dil o jaan o jigar maiñ rakh duuñ
haañ magar haath meñ ḳhanjar to uThā.e koī
apne hī ghar meñ milā DhūñD rahe the jis ko
us ke paane ke liye ḳhud hī ko paa.e koī
aa ga.ī kaalī ghaTā jhuum ke mai-ḳhāne par
tauba kahtī hai ki mujh ko bhī pilā.e koī
jab nazar aatā hai vo jān-e-tamannā dil meñ
kis tamannā ko liye tuur pe jaa.e koī
zindagī kyā hai faqat maut kā jām-e-rañgīñ
hast honā hai to hastī ko miTā.e koī
husn hai mahz jafā ishq hai tasvīr-e-vafā
rabt kā kuchh to sabab mujh ko batā.e koī
jazba-e-shauq use khīñch ke lā.egā yahāñ
aa nahīñ saktā to sau baar na aa.e koī
dil meñ yuuñ parda-nashīñ rahne se hāsil kyā hai
lutf to jab hai 'ratan' sāmne aa.e koī
KHwab hi mein ruKH-e-pur-nur dikhae koi
gham mein rahat ka bhi pahlu nazar aae koi
samne us ke dil o jaan o jigar main rakh dun
han magar hath mein KHanjar to uThae koi
apne hi ghar mein mila DhunD rahe the jis ko
us ke pane ke liye KHud hi ko pae koi
aa gai kali ghaTa jhum ke mai-KHane par
tauba kahti hai ki mujh ko bhi pilae koi
jab nazar aata hai wo jaan-e-tamanna dil mein
kis tamanna ko liye tur pe jae koi
zindagi kya hai faqat maut ka jam-e-rangin
hast hona hai to hasti ko miTae koi
husn hai mahz jafa ishq hai taswir-e-wafa
rabt ka kuchh to sabab mujh ko batae koi
jazba-e-shauq use khinch ke laega yahan
aa nahin sakta to sau bar na aae koi
dil mein yun parda-nashin rahne se hasil kya hai
lutf to jab hai 'ratan' samne aae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.