KHwab-jaziron par aankhon ke aks bana kar chhoD diye
KHwab-jaziron par aankhon ke aks bana kar chhoD diye
Ghulam Mustafa Daim
MORE BYGhulam Mustafa Daim
ḳhvāb-jazīroñ par āñkhoñ ke aks banā kar chhoḌ diye
manzar kī mīzān pe kis ne TuuTe patthar chhoḌ diye
ḳhushk fazā kī chhātī par ākāsh ke kankar chhoḌ diye
pyaas kā zarf nibhāyā ham ne saat samundar chhoḌ diye
ek sahīfa ba-sīġha-e-fitrat baam se utrā yaad nahīñ
chand abvāb sabhī ne uThā kar kyūñkar āḳhir chhoḌ diye
andeshoñ kī satreñ jin rāhoñ kā hāshiya bhūlī thiiñ
gām-gām kī qasmeñ liiñ vo raste yaksar chhoḌ diye
hairat ne anfās kī beleñ toḌ ke ik dīvār banī
raushniyoñ ke ḳhauf meñ andāzoñ ne mimbar chhoḌ diye
dastak kā ehsān dabā thā darvāze ke siine meñ
āñdhī ne un hāthoñ ke sab chun kar paikar chhoḌ diye
KHwab-jaziron par aankhon ke aks bana kar chhoD diye
manzar ki mizan pe kis ne TuTe patthar chhoD diye
KHushk faza ki chhati par aakash ke kankar chhoD diye
pyas ka zarf nibhaya hum ne sat samundar chhoD diye
ek sahifa ba-sigha-e-fitrat baam se utra yaad nahin
chand abwab sabhi ne uTha kar kyunkar aaKHir chhoD diye
andeshon ki satren jin rahon ka hashiya bhuli thin
gam-gam ki qasmen lin wo raste yaksar chhoD diye
hairat ne anfas ki belen toD ke ek diwar bani
raushniyon ke KHauf mein andazon ne mimbar chhoD diye
dastak ka ehsan daba tha darwaze ke sine mein
aandhi ne un hathon ke sab chun kar paikar chhoD diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.