KHwab ka chehra pila paDte dekha hai
ḳhvāb kā chehra piilā paḌte dekhā hai
ik tā'bīr ko suulī chaḌhte dekhā hai
ik tasvīr jo ā.īne meñ dekhī thī
us kā ik ik naqsh bigaḌte dekhā hai
sub.h se le kar shaam talak un āñkhoñ ne
apne hī saa.e ko baḌhte dekhā hai
us se haal chhupānā to hai nā-mumkin
ham ne us ko āñkheñ paḌhte dekhā hai
ashk-e-ravāñ rakhnā hī achchhā hai varna
tālāboñ kā paanī saḌte dekhā hai
ik ummīd ko ham ne aksar ḳhalvat meñ
ek adhūrī mūrat gaḌhte dekhā hai
dil meñ koī hai jis ko aksar ham ne
har ilzām hamīñ par maḌhte dekhā hai
KHwab ka chehra pila paDte dekha hai
ek ta'bir ko suli chaDhte dekha hai
ek taswir jo aaine mein dekhi thi
us ka ek ek naqsh bigaDte dekha hai
subh se le kar sham talak un aankhon ne
apne hi sae ko baDhte dekha hai
us se haal chhupana to hai na-mumkin
hum ne us ko aankhen paDhte dekha hai
ashk-e-rawan rakhna hi achchha hai warna
talabon ka pani saDte dekha hai
ek ummid ko hum ne aksar KHalwat mein
ek adhuri murat gaDhte dekha hai
dil mein koi hai jis ko aksar hum ne
har ilzam hamin par maDhte dekha hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 26)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.