KHwab kahan se TuTa hai tabir se puchhte hain
KHwab kahan se TuTa hai tabir se puchhte hain
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
ḳhvāb kahāñ se TuuTā hai tābīr se pūchhte haiñ
qaidī sab kuchh bhuul gayā zanjīr se pūchhte haiñ
jām-e-jam laayā hai ghar ghar duniyā ke hālāt
dil kī bāteñ ham terī tasvīr se pūchhte haiñ
duniyā kab karvaT badlegī kab jāgeñge shahr
kaisī bāteñ so.e hue zamīr se pūchhte haiñ
ham se na pūchho kis jazbe ne tumheñ kiyā nākām
bādshāh aisī bāteñ apne vazīr se pūchhte haiñ
ahd se kaun mukar jā.egā tāroñ ko kyā ilm
likkhī nahīñ jo tū ne us tahrīr se pūchhte haiñ
'qāsir' ne to dekhā hai ab tak fāqoñ kā raqs
jauhrī tāqat kyā hai jauhar-e-'mīr' se pūchhte haiñ
KHwab kahan se TuTa hai tabir se puchhte hain
qaidi sab kuchh bhul gaya zanjir se puchhte hain
jam-e-jam laya hai ghar ghar duniya ke haalat
dil ki baaten hum teri taswir se puchhte hain
duniya kab karwaT badlegi kab jagenge shahr
kaisi baaten soe hue zamir se puchhte hain
hum se na puchho kis jazbe ne tumhein kiya nakaam
baadshah aisi baaten apne wazir se puchhte hain
ahd se kaun mukar jaega taron ko kya ilm
likkhi nahin jo tu ne us tahrir se puchhte hain
'qasir' ne to dekha hai ab tak faqon ka raqs
jauhri taqat kya hai jauhar-e-'mir' se puchhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.