KHwab ke bij unhen bone ki ijazat nahin hai
ḳhvāb ke biij unheñ bone kī ijāzat nahīñ hai
haiñ kuchh āñkheñ jinheñ sone kī ijāzat nahīñ hai
hai pareshān jo duniyā se ġhazal-goī kare
kisī ko baiTh ke rone kī ijāzat nahīñ hai
koī shahr aa ke lapeTe meñ hameñ le legā
dasht haiñ ham hameñ hone kī ijāzat nahīñ hai
ham ko to bhūl-bhulaiyye meñ suhūlat hai magar
un kī socho jinheñ khone kī ijāzat nahīñ hai
kyoñ na 'fānī' bhī kare nazm-nigārī kā jatan
kyā use motī pirone kī ijāzat nahīñ hai
KHwab ke bij unhen bone ki ijazat nahin hai
hain kuchh aankhen jinhen sone ki ijazat nahin hai
hai pareshan jo duniya se ghazal-goi kare
kisi ko baiTh ke rone ki ijazat nahin hai
koi shahr aa ke lapeTe mein hamein le lega
dasht hain hum hamein hone ki ijazat nahin hai
hum ko to bhul-bhulaiyye mein suhulat hai magar
un ki socho jinhen khone ki ijazat nahin hai
kyon na 'fani' bhi kare nazm-nigari ka jatan
kya use moti pirone ki ijazat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.