KHwab KHush-fahmi KHushi sab kuchh miTa kar rakh diya
KHwab KHush-fahmi KHushi sab kuchh miTa kar rakh diya
Virendra Khare Akela
MORE BYVirendra Khare Akela
ḳhvāb ḳhush-fahmī ḳhushī sab kuchh miTā kar rakh diyā
us ne do hī roz meñ mujh ko bhulā kar rakh diyā
ye karishma kam se kam insān ke bas kā nahīñ
kis ne phir patthar pe ye paudhā ugā kar rakh diyā
sab kī nazroñ meñ ye daulat aa na jaa.e is liye
maiñ ne terā dard ġhazloñ meñ chhupā kar rakh diyā
tark-e-mai karne hī vaalā thā magar ab kyā karūñ
jaam saaqī ne mire hāthoñ pe lā kar rakh diyā
sirf aslī baat hī bolī nahīñ kambaḳht ne
kul-jahāñ kā yuuñ to afsāna sunā kar rakh diyā
kyā hasīñ kyā pur-sukūñ sapnā adhūrā rah gayā
aur so lene diyā hotā jagā kar rakh diyā
ai 'akelā' ho ga.ī apnī bhī rusvā.ī bahut
ham ne us ruḳh se magar parda haTā kar rakh diyā
KHwab KHush-fahmi KHushi sab kuchh miTa kar rakh diya
us ne do hi roz mein mujh ko bhula kar rakh diya
ye karishma kam se kam insan ke bas ka nahin
kis ne phir patthar pe ye paudha uga kar rakh diya
sab ki nazron mein ye daulat aa na jae is liye
main ne tera dard ghazlon mein chhupa kar rakh diya
tark-e-mai karne hi wala tha magar ab kya karun
jam saqi ne mere hathon pe la kar rakh diya
sirf asli baat hi boli nahin kambaKHt ne
kul-jahan ka yun to afsana suna kar rakh diya
kya hasin kya pur-sukun sapna adhura rah gaya
aur so lene diya hota jaga kar rakh diya
ai 'akela' ho gai apni bhi ruswai bahut
hum ne us ruKH se magar parda haTa kar rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.