KHwab ki khiDki se usko dekhna achchha laga
ḳhvāb kī khiḌkī se us ko dekhnā achchhā lagā
niiñd ke āñgan meñ shab-bhar jāgnā achchhā lagā
shahr-e-nā-pursāñ thā yuuñ bhī kaun kis ko pūchhtā
ek pal ko us kā muḌ kar dekhnā achchhā lagā
saath thā sahrā meñ bhī vo har-qadam sāya-sifat
is tarah shahr-e-ḳhirad se lauTnā achchhā lagā
ban gayā ik khel sā auroñ meñ ḳhud ko DhūñDhnā
kūcha kūcha qarya qarya ghūmnā achchhā lagā
ḳhvāb kaisā thā ki saarī umr āñkhoñ meñ rahā
dhyān kis kā thā ki pahroñ sochnā achchhā lagā
chāñdnī rātoñ meñ aksar jaag kar sochā jise
us kā raste meñ achānak sāmnā achchhā lagā
fasl-e-gul aa.ī to kyā kyā sūrateñ bāham huiiñ
chehra chehra ek sūrat DhūñDhnā achchhā lagā
kahkashāñ kī kahkashāñ merī galī meñ aa ga.ī
kaisī aahaT thī ki khiḌkī kholnā achchhā lagā
jaane kyā khoyā ki ab tak DhūñDte phirte haiñ ham
jaane kyā paayā ki sab kuchh bhūlnā achchhā lagā
KHwab ki khiDki se us ko dekhna achchha laga
nind ke aangan mein shab-bhar jagna achchha laga
shahr-e-na-pursan tha yun bhi kaun kis ko puchhta
ek pal ko us ka muD kar dekhna achchha laga
sath tha sahra mein bhi wo har-qadam saya-sifat
is tarah shahr-e-KHirad se lauTna achchha laga
ban gaya ek khel sa auron mein KHud ko DhunDhna
kucha kucha qarya qarya ghumna achchha laga
KHwab kaisa tha ki sari umr aankhon mein raha
dhyan kis ka tha ki pahron sochna achchha laga
chandni raaton mein aksar jag kar socha jise
us ka raste mein achanak samna achchha laga
fasl-e-gul aai to kya kya suraten baham huin
chehra chehra ek surat DhunDhna achchha laga
kahkashan ki kahkashan meri gali mein aa gai
kaisi aahaT thi ki khiDki kholna achchha laga
jaane kya khoya ki ab tak DhunDte phirte hain hum
jaane kya paya ki sab kuchh bhulna achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.