KHwab ki raat se nikal aai
ḳhvāb kī raat se nikal aa.ī
apne jazbāt se nikal aa.ī
vo mulāqāt jo tasavvur thī
us mulāqāt se nikal aa.ī
mere bas se nikal ga.e hālāt
maiñ bhī hālāt se nikal aa.ī
sub.h kā yuuñ karam huā mujh par
shab kī zulmāt se nikal aa.ī
koī thā jo du'ā meñ māñgtā thā
phir maiñ āyāt se nikal aa.ī
mujh ko nekī kā ye milā thā sila
saare sadmāt se nikal aa.ī
darjanoñ meñ kiyā mujhe bhī darj
us ke darjāt se nikal aa.ī
jin ḳhayāloñ meñ qaid thī ab tak
un ḳhayālāt se nikal aa.ī
KHwab ki raat se nikal aai
apne jazbaat se nikal aai
wo mulaqat jo tasawwur thi
us mulaqat se nikal aai
mere bas se nikal gae haalat
main bhi haalat se nikal aai
subh ka yun karam hua mujh par
shab ki zulmat se nikal aai
koi tha jo du'a mein mangta tha
phir main aayat se nikal aai
mujh ko neki ka ye mila tha sila
sare sadmat se nikal aai
darjanon mein kiya mujhe bhi darj
us ke darjat se nikal aai
jin KHayalon mein qaid thi ab tak
un KHayalat se nikal aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.