KHwab ki tabir diwana banaegi mujhe
ḳhvāb kī tā'bīr dīvāna banā.egī mujhe
phir chamaktī ret sahrā meñ bulā.egī mujhe
merā saarā zahr us ke jism meñ bhar jā.egā
zindagī jab apne siine se lagā.egī mujhe
aaj phir ik naujavāñ laḌkī mire pahlū meñ hai
aaj phir terī mohabbat yaad aa.egī mujhe
maiñ bhaTaktā hī rahūñgā khanDaroñ meñ umr-bhar
zindagī bas ek hī manzar dikhā.egī mujhe
maiñ diyā be-tel kā huuñ ḳhud-baḳhud bujh jā.ūñgā
'najm' tūfānī havā kyā āzmā.egī mujhe
KHwab ki ta'bir diwana banaegi mujhe
phir chamakti ret sahra mein bulaegi mujhe
mera sara zahr us ke jism mein bhar jaega
zindagi jab apne sine se lagaegi mujhe
aaj phir ek naujawan laDki mere pahlu mein hai
aaj phir teri mohabbat yaad aaegi mujhe
main bhaTakta hi rahunga khanDaron mein umr-bhar
zindagi bas ek hi manzar dikhaegi mujhe
main diya be-tel ka hun KHud-baKHud bujh jaunga
'najm' tufani hawa kya aazmaegi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.