KHwab ko nind ki sarhad pe rakha jata hai
ḳhvāb ko niiñd kī sarhad pe rakhā jaatā hai
tab kahīñ jā ke tirā vasl bunā jaatā hai
dil utar jaatā hai nazroñ se sar-e-shām kahīñ
phir udāsī ko ḳhayāloñ meñ bharā jaatā hai
canvas dard se ho jaatā hai chhalnī-chhalnī
jab tire hijr ko tasvīr kiyā jaatā hai
ek vīrānī sī ug paḌtī hai mere andar
ek lā-shakl ko imkān diyā jaatā hai
muttasil hogā bhalā kaise tire dukh se ḳhalā
kab kisī karb ko vahshat se siyā jaatā hai
log ā.eñge duā lene lahad par 'hāris'
maiñ batā jā.ūñgā yuuñ ishq kiyā jaatā hai
KHwab ko nind ki sarhad pe rakha jata hai
tab kahin ja ke tera wasl buna jata hai
dil utar jata hai nazron se sar-e-sham kahin
phir udasi ko KHayalon mein bhara jata hai
canwas dard se ho jata hai chhalni-chhalni
jab tere hijr ko taswir kiya jata hai
ek virani si ug paDti hai mere andar
ek la-shakl ko imkan diya jata hai
muttasil hoga bhala kaise tere dukh se KHala
kab kisi karb ko wahshat se siya jata hai
log aaenge dua lene lahad par 'haaris'
main bata jaunga yun ishq kiya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.