KHwab kya hai ki TuTta hi nahin
ḳhvāb kyā hai ki TūTtā hī nahīñ
ik nasha hai ki TūTtā hī nahīñ
is ne kyā kyā sitam na toḌe haiñ
dil mirā hai ki TūTtā hī nahīñ
TūTtā jā rahā hai ik ik ḳhvāb
silsila hai ki TūTtā hī nahīñ
rishte naate tamām TuuT ga.e
sar-phirā hai ki TūTtā hī nahīñ
pau phaTī añg añg TūTtā hai
aur nasha hai ki TūTtā hī nahīñ
lahreñ aa aa ke TuuT jaatī haiñ
ik ghaḌā hai ki TūTtā hī nahīñ
dil ke dariyā meñ kaisā sañg girā
dā.era hai ki TūTtā hī nahīñ
naav TuuTī do-nīm hai patvār
hausla hai ki TūTtā hī nahīñ
dhāgā kachchā sahī magar 'arshad'
yuuñ bañdhā hai ki TūTtā hī nahīñ
KHwab kya hai ki TuTta hi nahin
ek nasha hai ki TuTta hi nahin
is ne kya kya sitam na toDe hain
dil mera hai ki TuTta hi nahin
TuTta ja raha hai ek ek KHwab
silsila hai ki TuTta hi nahin
rishte nate tamam TuT gae
sar-phira hai ki TuTta hi nahin
pau phaTi ang ang TuTta hai
aur nasha hai ki TuTta hi nahin
lahren aa aa ke TuT jati hain
ek ghaDa hai ki TuTta hi nahin
dil ke dariya mein kaisa sang gira
daera hai ki TuTta hi nahin
naw TuTi do-nim hai patwar
hausla hai ki TuTta hi nahin
dhaga kachcha sahi magar 'arshad'
yun bandha hai ki TuTta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.