KHwab mein aaya nazar misr ka bazar mujhe
KHwab mein aaya nazar misr ka bazar mujhe
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
ḳhvāb meñ aaya nazar misr kā bāzār mujhe
is kī ta.abīr to de ai nigah-e-yār mujhe
baḳhsh kar roz-e-azal dīda-e-bedār mujhe
tū ne duniyā kā kiyā mālik-o-muḳhtār mujhe
lutf ye hai ki malā.ik ke liye sirf sujūd
aur taḳhlīq kī har manzil-e-dushvār mujhe
kajravī ban ga.ī zanjīr mire paañv kī
tū ne kyuuñ kī thī atā vaqt kī raftār mujhe
pursish-e-ġham se aziyyat meñ izāfa to na ho
haal pe mere agar chhoḌ deñ ġham-ḳhvār mujhe
dil-e-ġham-dīda-e-anjām laraz jaatā hai
jab sar-e-bazm vo kahte haiñ vafādār mujhe
mujh meñ hai tāb-e-nazar maiñ to na hotā behosh
tū agar aatā nazar tuur pe sau baar mujhe
KHwab mein aaya nazar misr ka bazar mujhe
is ki tabir to de ai nigah-e-yar mujhe
baKHsh kar roz-e-azal dida-e-bedar mujhe
tu ne duniya ka kiya malik-o-muKHtar mujhe
lutf ye hai ki malaik ke liye sirf sujud
aur taKHliq ki har manzil-e-dushwar mujhe
kajrawi ban gai zanjir mere panw ki
tu ne kyun ki thi ata waqt ki raftar mujhe
pursish-e-gham se aziyyat mein izafa to na ho
haal pe mere agar chhoD den gham-KHwar mujhe
dil-e-gham-dida-e-anjam laraz jata hai
jab sar-e-bazm wo kahte hain wafadar mujhe
mujh mein hai tab-e-nazar main to na hota behosh
tu agar aata nazar tur pe sau bar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.