KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh
ḳhvāb meñ haath chhuḌātī huī taqdīr kā dukh
aañkh se lipTā hai ab tak usī tā'bīr kā dukh
qaid-ḳhāne meñ yahī soch ke vāpas aayā
mujh ko mā'lūm hai tanhā paḌī zanjīr kā dukh
koshisheñ kar ke bahar-hāl musavvir haarā
shoḳh rangoñ meñ chhupā hī nahīñ tasvīr kā dukh
mashvara ḳhāna-ḳharāboñ se hī karnā behtar
ek khanDar hī batā saktā hai tā'mīr kā dukh
mahfil-e-she’r-o-suḳhan yuñhī rahe bāġh-o-bahār
nasl-dar-nasl chale 'mīr-taqī-mīr' kā dukh
KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh
aankh se lipTa hai ab tak usi ta'bir ka dukh
qaid-KHane mein yahi soch ke wapas aaya
mujh ko ma'lum hai tanha paDi zanjir ka dukh
koshishen kar ke bahar-haal musawwir haara
shoKH rangon mein chhupa hi nahin taswir ka dukh
mashwara KHana-KHarabon se hi karna behtar
ek khanDar hi bata sakta hai ta'mir ka dukh
mahfil-e-she’r-o-suKHan yunhi rahe bagh-o-bahaar
nasl-dar-nasl chale 'mir-taqi-mir' ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.