KHwab mein kar ke rihai ke nazare qaidi
ḳhvāb meñ kar ke rihā.ī ke nazāre qaidī
jaag kar rote rahe aaj bechāre qaidī
aap kī duniyā meñ jhūle kī suhūlat hogī
jhūlte haiñ yahāñ suulī ke sahāre qaidī
jānte the ki rihā.ī kī koī raah nahīñ
roz karte the par andhoñ ko ishāre qaidī
raat kī aaḌ meñ miltī haiñ sazā.eñ kyā kyā
shāhzādī ko lubhāte haiñ kuñvāre qaidī
us ne zindān ke sūrāḳh talak band kiye
kaaT leñ raat na ginte hue taare qaidī
hai giraftār-e-anā har koī tā-hadd-e-nigāh
zulmat-ābād meñ ab kis ko pukāre qaidī
tum to yādoñ ko bhī hamrāh liye jaate ho
chhoḌ kar jaao inheñ ye haiñ hamāre qaidī
KHwab mein kar ke rihai ke nazare qaidi
jag kar rote rahe aaj bechaare qaidi
aap ki duniya mein jhule ki suhulat hogi
jhulte hain yahan suli ke sahaare qaidi
jaante the ki rihai ki koi rah nahin
roz karte the par andhon ko ishaare qaidi
raat ki aaD mein milti hain sazaen kya kya
shahzadi ko lubhate hain kunware qaidi
us ne zindan ke suraKH talak band kiye
kaT len raat na ginte hue tare qaidi
hai giraftar-e-ana har koi ta-hadd-e-nigah
zulmat-abaad mein ab kis ko pukare qaidi
tum to yaadon ko bhi hamrah liye jate ho
chhoD kar jao inhen ye hain hamare qaidi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.