KHwab mein khanDar chamke
ḳhvāb meñ khañDar chamke
khiḌkiyoñ meñ Dar chamke
chāñd chamke maddham sā
tum bhī muḳhtasar chamke
kuchh ḳhayāl ke jugnū
raat raat bhar chamke
yuuñ bhī ho ki tū aa.e
aur mirī ḳhabar chamke
kaan chamkeñ sargam par
phuul par nazar chamke
muddatoñ se vīrāñ hai
dard kā shajar chamke
tīrgī kahāñ jaa.e
koī to Dagar chamke
aise vaise rastoñ par
kis tarah safar chamke
raat chamke daldal meñ
sāhiloñ pe sar chamke
kuchh nahīñ ye paanī meñ
machhliyoñ ke par chamke
duur tak añdhere meñ
us kī rahguzar chamke
KHwab mein khanDar chamke
khiDkiyon mein Dar chamke
chand chamke maddham sa
tum bhi muKHtasar chamke
kuchh KHayal ke jugnu
raat raat bhar chamke
yun bhi ho ki tu aae
aur meri KHabar chamke
kan chamken sargam par
phul par nazar chamke
muddaton se viran hai
dard ka shajar chamke
tirgi kahan jae
koi to Dagar chamke
aise waise raston par
kis tarah safar chamke
raat chamke daldal mein
sahilon pe sar chamke
kuchh nahin ye pani mein
machhliyon ke par chamke
dur tak andhere mein
us ki rahguzar chamke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.