KHwab mein kis tarah dekhun tujhko be-KHwabi ke sath
KHwab mein kis tarah dekhun tujhko be-KHwabi ke sath
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
ḳhvāb meñ kis tarah dekhūñ tujh ko be-ḳhvābī ke saath
jam.a āsā.ish kahāñ hotī hai betābi ke saath
kar diyā āñkhoñ ke rone ne mire dil ko ḳhunuk
kab talak garmī karūñ is mardum-e-ābī ke saath
ġhuncha rangīnī ko apnī chāhiye tah kar rakhe
us ko kyā nisbat hai un lab-hā-e-unnābī ke saath
poñchhte us muñh ke ho jaatā hai sab rangīñ rumāl
gul kahāñ hotā hai aise rang-o-shādābī ke saath
muft naiiñ lete vafā ko shahr-e-ḳhūbāñ meñ 'yaqīñ'
kis qadar be-qadr hai ye jins nāyābī ke saath
KHwab mein kis tarah dekhun tujh ko be-KHwabi ke sath
jama aasaish kahan hoti hai betabi ke sath
kar diya aankhon ke rone ne mere dil ko KHunuk
kab talak garmi karun is mardum-e-abi ke sath
ghuncha rangini ko apni chahiye tah kar rakhe
us ko kya nisbat hai un lab-ha-e-unnabi ke sath
ponchhte us munh ke ho jata hai sab rangin rumal
gul kahan hota hai aise rang-o-shadabi ke sath
muft nain lete wafa ko shahr-e-KHuban mein 'yaqin'
kis qadar be-qadr hai ye jins nayabi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.