KHwab mein wasl ke ilham utare jate
ḳhvāb meñ vasl ke ilhām utāre jaate
lafz bhīgī huī palkoñ pe sañvāre jaate
kaash ik baar bulāte vo hameñ bhī aur ham
saath pahlū meñ liye chāñd sitāre jaate
ik nazar dekh ke vahdat kī tajallī se unheñ
zulf to zulf hai ham ziist sañvāre jaate
ham bhī hote kabhī mansūb suḳhan kī ḳhātir
us kī mahfil se kabhī ham bhī pukāre jaate
aur kuchh chaah na thī apnī magar itnā thā
ḳhvāb kuchh apne bhī hote ki nikhāre jaate
vo koī paas mohabbat kā na rakhte na sahī
bojh vā'doñ kā magar ham se utāre jaate
chaak par haath ghumāte hue yaad aa.e haiñ
log kuchh aise ki kuuze meñ utāre jaate
jiit kā jashn manāte vo ḳhushī se aur ham
dekh kar un ko ye dil haath se haare jaate
vo faqat haal raqam karte idhar ham 'kāvish'
aag meñ pheñk ke sab dil ke ḳhasāre jaate
KHwab mein wasl ke ilham utare jate
lafz bhigi hui palkon pe sanware jate
kash ek bar bulate wo hamein bhi aur hum
sath pahlu mein liye chand sitare jate
ek nazar dekh ke wahdat ki tajalli se unhen
zulf to zulf hai hum zist sanware jate
hum bhi hote kabhi mansub suKHan ki KHatir
us ki mahfil se kabhi hum bhi pukare jate
aur kuchh chah na thi apni magar itna tha
KHwab kuchh apne bhi hote ki nikhaare jate
wo koi pas mohabbat ka na rakhte na sahi
bojh wa'don ka magar hum se utare jate
chaak par hath ghumate hue yaad aae hain
log kuchh aise ki kuze mein utare jate
jit ka jashn manate wo KHushi se aur hum
dekh kar un ko ye dil hath se haare jate
wo faqat haal raqam karte idhar hum 'kawish'
aag mein phenk ke sab dil ke KHasare jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.