KHwab-o-KHayal-e-gul se kidhar jae aadmi
ḳhvāb-o-ḳhayāl-e-gul se kidhar jaa.e aadmī
ik gulshan-e-havā hai jidhar jaa.e aadmī
dekhe hue se lagte haiñ raste makāñ makīñ
jis shahr meñ bhaTak ke jidhar jaa.e aadmī
dekhe haiñ vo nagar ki abhī tak huuñ ḳhauf meñ
vo sūrateñ milī haiñ ki Dar jaa.e aadmī
ye bahr-e-hast-o-būd hai be-gauhar-e-murād
gahrā.iyoñ meñ is kī agar jaa.e aadmī
parde meñ rañg-o-bū ke safar-dar-safar 'munīr'
in manziloñ se kaise guzar jaa.e aadmī
KHwab-o-KHayal-e-gul se kidhar jae aadmi
ek gulshan-e-hawa hai jidhar jae aadmi
dekhe hue se lagte hain raste makan makin
jis shahr mein bhaTak ke jidhar jae aadmi
dekhe hain wo nagar ki abhi tak hun KHauf mein
wo suraten mili hain ki Dar jae aadmi
ye bahr-e-hast-o-bud hai be-gauhar-e-murad
gahraiyon mein is ki agar jae aadmi
parde mein rang-o-bu ke safar-dar-safar 'munir'
in manzilon se kaise guzar jae aadmi
- Book : chhe rangi darwaze (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.