KHwab palkon par sulagne aur bhi the
ḳhvāb palkoñ par sulagne aur bhī the
āñkhoñ kī qismat meñ dhoke aur bhī the
jis ko khone kā tarīqa ek hī thā
us ko paane ke tarīqe aur bhī the
mujh ko āḳhir toḌne kī vajah kyā thī
shāḳh pe jab mere jaise aur bhī the
dil ko halkā karne ko rone lagā maiñ
jab ki rone ke natīje aur bhī the
chand lamhoñ kī ḳhushī meñ bhuul baiThā
mere uupar ġham ke saa.e aur bhī the
maiñ akelā hī pahuñch paayā huuñ mujh tak
mere pīchhe aane vaale aur bhī thī
sab kī nazreñ aa ke mujh par Tik ga.ī thiiñ
jab ki duniyā meñ tamāshe aur bhī the
KHwab palkon par sulagne aur bhi the
aankhon ki qismat mein dhoke aur bhi the
jis ko khone ka tariqa ek hi tha
us ko pane ke tariqe aur bhi the
mujh ko aaKHir toDne ki wajah kya thi
shaKH pe jab mere jaise aur bhi the
dil ko halka karne ko rone laga main
jab ki rone ke natije aur bhi the
chand lamhon ki KHushi mein bhul baiTha
mere upar gham ke sae aur bhi the
main akela hi pahunch paya hun mujh tak
mere pichhe aane wale aur bhi thi
sab ki nazren aa ke mujh par Tik gai thin
jab ki duniya mein tamashe aur bhi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.