KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain
KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
ḳhvāb palkoñ pe mirī aa ke machal jaate haiñ
yā kabhī ban ke guhar aañkh se Dhal jaate haiñ
mujh ko gosha koī mānūs sā jo lagtā hai
log dīvār pe tasvīr badal jaate haiñ
kal vo 'ālam thā ki ik jaan thī do qālib the
aaj ye hai ki vo katrā ke nikal jaate haiñ
ham ko tūfān-e-havādis kā koī ḳhauf nahīñ
ye jo aate haiñ to kuchh ham bhī bahal jaate haiñ
apne āñgan meñ vo sūraj ke tamannā.ī haiñ
jo diyā dekh ke hamsā.e kā jal jaate haiñ
maiñ suḳhanvar bhī nahīñ fan kā salīqa bhī nahīñ
zaḳhm haiñ dil ke jo naġhmāt meñ Dhal jaate haiñ
KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain
ya kabhi ban ke guhar aankh se Dhal jate hain
mujh ko gosha koi manus sa jo lagta hai
log diwar pe taswir badal jate hain
kal wo 'alam tha ki ek jaan thi do qalib the
aaj ye hai ki wo katra ke nikal jate hain
hum ko tufan-e-hawadis ka koi KHauf nahin
ye jo aate hain to kuchh hum bhi bahal jate hain
apne aangan mein wo suraj ke tamannai hain
jo diya dekh ke hamsae ka jal jate hain
main suKHanwar bhi nahin fan ka saliqa bhi nahin
zaKHm hain dil ke jo naghmat mein Dhal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.